Shabdo ka mayazal

Na jate dikhta hai
Na aate dikhta hai
Na talvar se vaar karta hai
Na bandook se war karta hai
Bin shastra k kitne rishto k katla karta hai
Ye sab shabdo ka mayajal hai

Kisi ko dost banata hai
Kisi ko dushman banata hai
Kisi ko apna banata hai
Kisi apne ko dur le jata hai
Bin machis k jale ye
Hazaro k dil dahlata hai
Ye sab sabdo ka mayazal hai

Koi waqt ko kosta hai
Koi kismat ko kosta hai
Koi baith jata hai dunia se rutth kar
Koi unhi ko galat sabit karne mai lagta hai
Pathhar se dil ko pigalkar mom dil ko patthar bana deta hai
Ye sab shabdo ka mayazal hai

Comments

Popular Posts